Le gaye the phoolon bhara guldastaan Socha unhe tohfe mein denge Aakhir dilayi thi kasam khud ki keh kar “Main tumhara intezaar karungi Iss baar waada na todna” Na aaye woh… Na unka sandesaa Rakh aaye unke chaukhat pe phoolon bhara guldastaan Socha iss tohfe ko kaise murjhaane de? Rote rahe raat bhar unke na aane par Aur chale gaye subah ki pehli kiran par Aansuon ne lihaaz rakha, na murjhaane diya guldaste ko Aur ek woh hai jo un aasuon ko OAS ki boond (dewdrops) samajh baithi… Aur humein BEWAFAA SANAM!