Ittefaq ki baat hai yaaron Woh bin bole hi keh gaye Alvida keh diya unhone Aur hum maikhaane chale gaye..

Naukri ka thikaana na tha Berozgaar hu reh gaye Jaa na paye hum kahin or Aur hum maikhane chale gaye..

Jhoothi tasalli jhoothe armaan Woh jhooth viraasat mein de gaye Hum kuch na kar paye yaaro Aru hum maikhaane chale gaye..

Vaadon aur kasmo ka andaazaa kahaan Doobte suraj ke saath woh bhi dhal gaye Musaafir ban baithe zindagi bhar ke liye Aur hum maikhaane chale gaye..

Kaisi dosti kaisa pyaar? Sab apne hi chale gaye Begaano ko talaashte kahaan Aur hum maikhaane chale gaye..

Sharaab ke pyaale mein chuur hue Fir bhi hosh naa uda sake Socha behoshi ko dhundte kahaan Aur hum maikhaane chale gaye..

Haath thaamaa tha zindagi ne Rangeen dhokha diye chale gaye Maut ki khoj karte kahaan Aur hum maikhaane chale gaye..

Jab kafan naa mila udhaar par Kabrastaan mein yun hi let gaye Par laashon ne apnaayaa nahi Aur hum maikhaane chale gaye..