Jaane kiski yaadein laayi hai iss saal ki holi Ki pichhkaari se nikli hai mere ashqon ki goli “Aao Deva” woh kehti thi le kar gubbaaron ki fauj Na pataa chala unme chhupa tha chhal aur pratishodh.

“Deva Deva” woh pukaarti aur rangon se nehlaati Khokhlepan ke aanchal mein mujhko woh behlaati Bada ajeeb sa tha uske holi ke jashn ka tyohaar Jo fariyaad bhi na kar paayi mere aansuon ki bouchhaar.

Khoon bhare haathon se LAAL rang mujhe lagaayaa Shaayad mera hi katl hua par mujhe na bataayaa Pehle se hi the saanvle phir bhi lagaayaa KAALAA rang Husn ki inn adaaon ne lagaa diya mujhpar kalank.

Ab bhi koi kasar baaki thi jo rang diya mujhe HARAA Bin dekhe hi dikh gayi uski aankhon mein irshyaa NEELE rang ka zeher milaa kar bhaang mujhe pilaati “Main tumse pyaar karti hu, Deva” keh kar mujhe fuslaati

Maine puchha usse, “Mujh par PEELA rang nahi lagaayaa?” Haathon mein woh thamaa gayi madiraa ka pyaalaa Socha SAFED rang ki khwahish meri adhoori reh gayi Kafan uphaar mein de kar woh kami bhi poori ho gayi

Chhal woh barsaaye jaa rahi thi aur main jhoomein jaa rahaa tha Uske chhal ke gham mein main khushi se peeye jaa rahaa tha Ab na kehna mujhe dost, “Aao Deva, chalo khele holi” Darta hoon kahin chhut na jaaye in aankhon se ashqon ki goli!