Meri tarakki se jalte ho Aur faqr bhi mehsus karte ho Agar itna hi pyar hai mujhse Kyun ajnabee bane firte ho?

Mujhe chot bhi dete ho Chupke se aanso bhi bahaa lete ho Agar itna hi pyar hai mujhse Kyun ajnabee bane firte ho?

Chup rehne ko kehte ho Meri khamoshi se bhi darte ho Agar itna hi pyar hai mujhse Kyun ajnabee bane firte ho?

Mujhse duur rehne ki kasme khaa kar Meri khalish mein bhukhe pyaase rehte ho Agar itna hi pyar hai mujhse Kyun ajnabee bane firte ho?

Iss rishtey ka iqraar nai karte Inkaar karne se bhi inkaar karte ho Agar itna hi pyar hai mujhse Kyun ajnabee bane firte ho?

Rutthne ka mauka bhi lete ho Manaane ka bahaanaa dhund lete ho Agar itna hi pyar hai mujhse Kyun ajnabee bane firte ho?

Zindagi khushiyon se bharna chah kar bhi Khud sehme sehme hue se rehte ho Agar itna hi pyar hai mujhse Kyun ajnabee bane firte ho?